Skip to main content

kal shab dil-e-āvāra ko siine se nikālā

kal shab dil-e-āvāra ko siine se nikālā
ye āḳhirī kāfir bhī madīne se nikālā
ye fauj nikaltī thī kahāñ ḳhāna-e-dil se
yādoñ ko nihāyat qarīne se nikālā
maiñ ḳhuun bahā kar bhī huā baaġh meñ rusvā
us gul ne magar kaam pasīne se nikālā
Thahre haiñ zar-o-sīm ke haqdār tamāshā.ī
aur mār-e-siyah ham ne dafīne se nikālā
ye soch ke sāhil pe safar ḳhatm na ho jaa.e
bāhar na kabhī paañv safīne se nikālā
Iqbal Sajid

Comments

Popular posts from this blog

Aoo Mil Jao K Yai Waqt Na Paao Gay Kabhi...

Aoo mil jao k yai waqt na paao gay kabhi... Main bhi hamrah zamana k badal jaoun ga...

Us K Pehlu Sy Lag K Chalty Hain...

اُس کے پہلو سے لگ کے چلتے ہیں ہم کہیں ٹالنے سے ٹلتے ہیں میں اُسی طرح تو بہلتا ہوں اور سب جس طرح بہلتے ہیں وہ ہے جان اب ہر ایک محفل کی ہم بھی اب گھر سے کم نکلتے ہیں کیا تکلف کریں یہ کہنے میں جو بھی خوش ہے، ہم اُس سے جلتے ہیں ہے اُسے دور کا سفر در پیش ہم سنبھالے نہیں سنبھلتے ہیں ہے عجب فیصلے کا صحرا بھی چل نہ پڑیے تو پاؤں جلتے ہیں ہو رہا ہوں میں کس طرح برباد دیکھنے والے ہاتھ ملتے ہیں تم بنو رنگ، تم بنو خوشبو ہم تو اپنے سخن میں ڈھلتے ہیں