Skip to main content

Aap Apna Ghubar Thy Hum Toh...

Aap apna ghubar the hum toh,
yaad the yaadgar the hum toh.
Pardagi hum se kyon rakha parda,
tere hi pardadaar the hum toh.
Waqt ki dhoop mein tumhare liye,
shajar-e saayadaar the hum toh.
Ude jaate hain dhool ke maanind,
aandhiyon par sawaar the hum toh.
Hum ne kyon khud pe aitbaar kiya,
sakht be’aitbaar the hum toh.
Sharam hai apni baar baari ki,
be’sabab baar baar the hum toh.
Kyon humein kar diya gaya majboor,
khud hi be’ikhtiyaar the hum toh.
Tumne kaise bhula diya hum ko,
tum se hi mustaar the hum toh.
Khush na aaya hamein jiye jaana,
lamhe lamhe pe baar the hum toh.
Seh bhi lete humare taano ko,
jaaneman jaan’nisaar the hum toh.
Khud ko dauraan-e haal mein apne,
betarah naagawaar the hum toh.
Tumne hum ko bhi kar diya barbaad,
naadir-e rozgaar the hum toh.
Hum ko yaaron ne yaad bhi na rakha,
Jaun’ yaaron ke yaar the hum toh. !!

Comments

Popular posts from this blog

Us K Pehlu Sy Lag K Chalty Hain...

اُس کے پہلو سے لگ کے چلتے ہیں ہم کہیں ٹالنے سے ٹلتے ہیں میں اُسی طرح تو بہلتا ہوں اور سب جس طرح بہلتے ہیں وہ ہے جان اب ہر ایک محفل کی ہم بھی اب گھر سے کم نکلتے ہیں کیا تکلف کریں یہ کہنے میں جو بھی خوش ہے، ہم اُس سے جلتے ہیں ہے اُسے دور کا سفر در پیش ہم سنبھالے نہیں سنبھلتے ہیں ہے عجب فیصلے کا صحرا بھی چل نہ پڑیے تو پاؤں جلتے ہیں ہو رہا ہوں میں کس طرح برباد دیکھنے والے ہاتھ ملتے ہیں تم بنو رنگ، تم بنو خوشبو ہم تو اپنے سخن میں ڈھلتے ہیں

kal shab dil-e-āvāra ko siine se nikālā

kal shab dil-e-āvāra ko siine se nikālā ye āḳhirī kāfir bhī madīne se nikālā ye fauj nikaltī thī kahāñ ḳhāna-e-dil se yādoñ ko nihāyat hī qarīne se nikālā maiñ ḳhuun bahā kar bhī huā baaġh meñ rusvā us gul ne magar kaam pasīne se nikālā Thahre haiñ zar-o-sīm ke haqdār tamāshā.ī aur mār-e-siyah ham ne dafīne se nikālā ye soch ke sāhil pe safar ḳhatm na ho jaa.e bāhar na kabhī paañv safīne se nikālā Iqbal Sajid

Aoo Mil Jao K Yai Waqt Na Paao Gay Kabhi...

Aoo mil jao k yai waqt na paao gay kabhi... Main bhi hamrah zamana k badal jaoun ga...