Har baar mere samne aati rahi ho tum, Har baar tum se mil ke bicharta raha hon main, Tum kaun ho yeh khud bhi anhin janti ho tum, Main kaun hoon yeh khud bhi nahin janta hon main, Tum mujh ko jaan kar hi parri ho azaab main, Aur iss tarah khud apni saza ban geya hoon main, Tum jis zameen par ho main us ka khuda nahin, Pass sar -ba- sar aziyat o aazaar hi raho, Bezaar ho gayi ho bohat zindagi se tum, Jab bass main kuch nahin to bezaar hi raho, Tum ko yahan ke saaya o partau se kya gharazz , Tum apne haq main beech ki dewaar hi raho, Main ibtidaa se ishq se be-mehr hi raha, Tum intihaa-e- ishq ka meyaar hi raho, Tum khoon thookti ho yeh sun kar khushi huyi, Iss rang is adaa mai bhi purkaar hi raho, Main ne yeh kab kaha tha muhabbat main hai nijaat, Main ne yeh kab kaha tha wafadaar hi raho, Ap...
Comments
Post a Comment