Apne sab yar kaam kar rahe hain
Aur hum hain ki nam kar rahe hain
Tegh-bazi ka shauq apni jagah
Aap to qatl-e-am kar rahe hain
Dad-o-tahsin ka ye shor hai kyun
Hum to khud se kalam kar rahe hain
Hum hain masruf-e-intizam magar
Jaane kya intizam kar rahe hain
Hai wo bechaargi ka haal ki hum
Har kisi ko salam kar rahe hain
Ek qattala chahiye hum ko
Hum ye ealan-e-am kar rahe hain
Kya bhala saghar-e-sifal ki hum
Naf-pyale ko jam kar rahe hain
Hum to aae the arz-e-matlab ko
Aur wo ehtiram kar rahe hain
Na uthe aah ka dhuan bhi ki wo
Ku-e-dil mein khiram kar rahe hain
Us ke honton pe rakh ke hont apne
Baat hi hum tamam kar rahe hain
Hum ajab hain ki us ke kuche mein
Be-sabab dhum-dham kar rahe hain...
Comments
Post a Comment