Sar hi ab phoriye nadamat mein
Neend aany lagi hai furqat mein
Hain daleelyn tairay khilaaf magar
sochta hun teri himayat mein
Rooh ne ishq ka fareb diya
jism ko jism ki adawat mein
Ishq ko darmyaan na laao ke mein
Cheekhta hun badan ki usrat mein
Ab faqat aadaton ki warzish hai
Rooh shaamil nahin shikayat mein
Apne hujray ka kya bayaan ke yahan
khoon thooka gaya shararat mein
Woh khala hai ke sochta hun main
Us se kya guftugoo ho khalwat mein
Yeh kuch asaan to nahin hai ke hum
Roothty ab bhi hain murawat mein
Woh jo taameer hony wali thi
Lag gaii aagh us imarat mein
Zindagi kis tarha basar hogi
Dil nahin lag raha Mohabbat mein...
Neend aany lagi hai furqat mein
Hain daleelyn tairay khilaaf magar
sochta hun teri himayat mein
Rooh ne ishq ka fareb diya
jism ko jism ki adawat mein
Ishq ko darmyaan na laao ke mein
Cheekhta hun badan ki usrat mein
Ab faqat aadaton ki warzish hai
Rooh shaamil nahin shikayat mein
Apne hujray ka kya bayaan ke yahan
khoon thooka gaya shararat mein
Woh khala hai ke sochta hun main
Us se kya guftugoo ho khalwat mein
Yeh kuch asaan to nahin hai ke hum
Roothty ab bhi hain murawat mein
Woh jo taameer hony wali thi
Lag gaii aagh us imarat mein
Zindagi kis tarha basar hogi
Dil nahin lag raha Mohabbat mein...
- Get link
- X
- Other Apps
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment