Skip to main content

Wo Jo Ham Main Tum Main Qaraar Tha...

Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhen yaad ho k na yaad ho,

Wohi yaani vaada nibaah ka tumhen yaad ho k na yaad ho,

Woh jo lutf mujh pe they pesh-tar woh karam hi tha mere haal pr,

Mujhe sab hai yaad zara zara tumhen yaad ho k naa yaad ho,

Woh naye gille woh shikaayeten woh mazze mazze ki hikaayeten,

Woh har ek baat pe roothna tumhen yaad ho ke naa yaad ho,

Kabhi bethe sab main jo rubaru to ishaaron main hi guftguu,

Woh bayaan shauq ka barmala tumhen yaad ho k naa yaad ho,

Koi baat aesi agar huyi ke tumhare jee ko buri lagi,

To bayaan se pehle hi bhoolna tumhen yaad ho k naa yaad ho,

Kabhi hum main tum main bhi chaah thi kabhi hum ko tum se bhi raah thi,

Kabhi hum bhi tum bhi they aashnaa tumhen yaad ho k na yaad ho,

Suno zikr hai kayi saal ka k kiya ik aap ne vaada tha,

So nibhaane ka to zikr kya tumhen yaad ho k naa yaad ho,

Woh bigarrna vasl ki raat ka woh na maan‘na kisi baat ka,

Woh nahin nahin ki har adaa tumhen yaad ho k na yaad ho,

Jise aap ginte they aashnaa jisse aap kehte they baawafa,


Main wohi hoon “momin-e-mubtala” tumhen yaad ho k na yaad ho...

Comments

Popular posts from this blog

Us K Pehlu Sy Lag K Chalty Hain...

اُس کے پہلو سے لگ کے چلتے ہیں ہم کہیں ٹالنے سے ٹلتے ہیں میں اُسی طرح تو بہلتا ہوں اور سب جس طرح بہلتے ہیں وہ ہے جان اب ہر ایک محفل کی ہم بھی اب گھر سے کم نکلتے ہیں کیا تکلف کریں یہ کہنے میں جو بھی خوش ہے، ہم اُس سے جلتے ہیں ہے اُسے دور کا سفر در پیش ہم سنبھالے نہیں سنبھلتے ہیں ہے عجب فیصلے کا صحرا بھی چل نہ پڑیے تو پاؤں جلتے ہیں ہو رہا ہوں میں کس طرح برباد دیکھنے والے ہاتھ ملتے ہیں تم بنو رنگ، تم بنو خوشبو ہم تو اپنے سخن میں ڈھلتے ہیں

kal shab dil-e-āvāra ko siine se nikālā

kal shab dil-e-āvāra ko siine se nikālā ye āḳhirī kāfir bhī madīne se nikālā ye fauj nikaltī thī kahāñ ḳhāna-e-dil se yādoñ ko nihāyat hī qarīne se nikālā maiñ ḳhuun bahā kar bhī huā baaġh meñ rusvā us gul ne magar kaam pasīne se nikālā Thahre haiñ zar-o-sīm ke haqdār tamāshā.ī aur mār-e-siyah ham ne dafīne se nikālā ye soch ke sāhil pe safar ḳhatm na ho jaa.e bāhar na kabhī paañv safīne se nikālā Iqbal Sajid

Aoo Mil Jao K Yai Waqt Na Paao Gay Kabhi...

Aoo mil jao k yai waqt na paao gay kabhi... Main bhi hamrah zamana k badal jaoun ga...