Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2018

kal shab dil-e-āvāra ko siine se nikālā

kal shab dil-e-āvāra ko siine se nikālā ye āḳhirī kāfir bhī madīne se nikālā ye fauj nikaltī thī kahāñ ḳhāna-e-dil se yādoñ ko nihāyat hī qarīne se nikālā maiñ ḳhuun bahā kar bhī huā baaġh meñ rusvā us gul ne magar kaam pasīne se nikālā Thahre haiñ zar-o-sīm ke haqdār tamāshā.ī aur mār-e-siyah ham ne dafīne se nikālā ye soch ke sāhil pe safar ḳhatm na ho jaa.e bāhar na kabhī paañv safīne se nikālā Iqbal Sajid

Suna Hay Log Usay Aankh Bhar K Dekhtay Hain...

Suna hay log usay aankh bhar k dekhtay hain So uss k shehar main kuch din thehar k dekhtay han Suna hay rabt hay uss ko kharab haalon sey So apnay aap ko barbaad kar k dekhtay hain Suna hay dard ki gahak he chashm e naaz uss ki So hum bhi uss ki galli se guzar k dekhtay hain Suna hay uss ko bhi hay sher o shairi se shaghaf So hum bhi mo"jzay apnay hunar k dekhtay hain Suna Hay bolay to baaton se phool jhartay hain Yeh baat hay to chalo baat kar k dekhtay hain Suna hay raat usay chaand takta rehta hay Sitaray baam e falak se utar k dekhtay hain Suna hay din ko usay tittliaan satatee hain Suna hay raat ko jugnoo thehar k dekhtay hain Suna hay Hashar hain uss ki ghazaal see aankhain Suna hay uss ko haran dasht bhar k dekhtay hain Suna hay raat se barh kar hain kaakulain uss ki Suna hay shaam ko saaey guzar k dekhtay hain Suna hay uss k labon se gulaab jaltay hain So hum bahaar per ilzaam dhar k dekhtay hain Suna hay aaina e...

Malal Hai Magar Itna Malal Thorhi Hai...

Malal Hai Magar Itna Malal Thorhi Hai Ye Aankh Rone Ki Shiddat Se Laal Thori Hai Bus Apne Wastey Hi Fikar-Mand Hain Sab Log Yahan Kisi Ko Kisi Ka Khayal Thorhi Hai Paron Ko Kaat Dia Hai Urhan Se Pehle Ye Khof-E-Hijr Hai, Shoq-E-Wisal Thori Hai Maza To Jab Hai K Har Ke Bhi Hanstay Raho Hamaisha Jeet Hi Jana Kamal Thorhi Hai?? Lagani Parhti Hai Dubki Ubharney Se Pehle Gharoob Honey Ka Matlab Zawal Thorhi Hai

Us K Pehlu Sy Lag K Chalty Hain...

اُس کے پہلو سے لگ کے چلتے ہیں ہم کہیں ٹالنے سے ٹلتے ہیں میں اُسی طرح تو بہلتا ہوں اور سب جس طرح بہلتے ہیں وہ ہے جان اب ہر ایک محفل کی ہم بھی اب گھر سے کم نکلتے ہیں کیا تکلف کریں یہ کہنے میں جو بھی خوش ہے، ہم اُس سے جلتے ہیں ہے اُسے دور کا سفر در پیش ہم سنبھالے نہیں سنبھلتے ہیں ہے عجب فیصلے کا صحرا بھی چل نہ پڑیے تو پاؤں جلتے ہیں ہو رہا ہوں میں کس طرح برباد دیکھنے والے ہاتھ ملتے ہیں تم بنو رنگ، تم بنو خوشبو ہم تو اپنے سخن میں ڈھلتے ہیں

Tum Mairi Ankh K Tevar Na Bhulao Pao Gy...

تم مری آنکھ کے تیور نہ بھلا پاؤگے ان کہی بات کو سمجھوگے تو یاد آؤں گا ہم نے خوشیوں کی طرح دکھ بھی اکٹھے دیکھے صفحۂ زیست کو پلٹو گے تو یاد آؤں گا اس جدائی میں تم اندر سے بکھر جاؤگے کسی معذور کو دیکھوگے تو یاد آؤں گا اسی انداز میں ہوتے تھے مخاطب مجھ سے خط کسی اور کو لکھو گے تو یاد آؤں گا میری خوشبو تمہیں کھولے گی گلابوں کی طرح تم اگر خود سے نہ بولو گے تو یاد آؤں گا آج تو محفل یاراں پہ ہو مغرور بہت جب کبھی ٹوٹ کے بکھرو گے تو یاد آؤں گا

Sochta Hun K Moat Aany Tak...

Sochta hun k moat aany tak... Zindaa rahny mein kya qabaahat hai...

Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain...

Apne sab yar kaam kar rahe hain  Aur hum hain ki nam kar rahe hain Tegh-bazi ka shauq apni jagah  Aap to qatl-e-am kar rahe hain Dad-o-tahsin ka ye shor hai kyun  Hum to khud se kalam kar rahe hain Hum hain masruf-e-intizam magar  Jaane kya intizam kar rahe hain Hai wo bechaargi ka haal ki hum  Har kisi ko salam kar rahe hain Ek qattala chahiye hum ko  Hum ye ealan-e-am kar rahe hain Kya bhala saghar-e-sifal ki hum  Naf-pyale ko jam kar rahe hain Hum to aae the arz-e-matlab ko  Aur wo ehtiram kar rahe hain Na uthe aah ka dhuan bhi ki wo  Ku-e-dil mein khiram kar rahe hain Us ke honton pe rakh ke hont apne  Baat hi hum tamam kar rahe hain Hum ajab hain ki us ke kuche mein  Be-sabab dhum-dham kar rahe hain...

Har Baar Mere Samne Aati Rahi Ho Tum...

Har  baar  mere samne aati rahi ho tum, Har baar  tum se mil ke bicharta raha hon main, Tum kaun ho yeh khud bhi anhin janti ho tum, Main kaun hoon yeh khud bhi nahin janta hon main, Tum mujh  ko jaan  kar hi parri ho azaab  main, Aur iss tarah  khud apni saza   ban  geya hoon main, Tum jis zameen par ho main us ka khuda  nahin, Pass   sar -ba- sar   aziyat  o aazaar  hi raho, Bezaar ho gayi ho bohat zindagi  se tum, Jab bass  main kuch nahin to bezaar  hi raho, Tum ko yahan ke  saaya  o partau  se kya gharazz , Tum apne haq main beech ki dewaar hi raho, Main ibtidaa  se ishq  se be-mehr  hi raha, Tum intihaa-e- ishq  ka meyaar hi raho, Tum khoon  thookti ho yeh sun kar khushi huyi, Iss rang is adaa   mai  bhi purkaar  hi raho, Main ne yeh kab kaha tha muhabbat main hai nijaat, Main ne yeh kab kaha tha wafadaar hi raho, Ap...

Hai Haqiqat Azab Rahny Do...

ہے حقیقت عذاب رہنے دو ٹوٹ جائے گا خواب رہنے دو کب سزاوار ہوں عنایت کا یونہی زیرِ عتاب رہنے دو تم جلا دو کتابِ ہستی کو اک محبت کا باب رہنے دو بے خودی میں سوال کر بیٹھا چپ رہو، لاجواب رہنے دو اب اتارو زمیں پہ چاند کوئی یا انہیں بے نقاب رہنے دو لوگ رکھے ہیں اب نظر ہم پر فرشتو تم حساب رہنے دو دیکھ بیٹھا ہوں پارساؤں کو ہم کو یونہی خراب رہنے دو مر نہ جائیں کہیں سکوں سے ہم دل میں کچھ اضطراب رہنے دو دل، جگر، جان آپ ہیں ابرک سب ہیں باتیں جناب رہنے دو

Tazad-e-Jazbat Main Yai...

تضادِ جذبات میں یہ نازک مقام آیا تو کیا کرو گے میں رو رہا ہوں تو ہنس رہے ہو،میں مسکرایا تو کیا کرو گے ابھی تو دامن چھڑا رہے ہو، بگڑ کے قابل سے جا رہے ہو مگر کبھی دل کی دھڑکنوں میں شریک پایا تو کیا کرو گے قابل اجمیری

Jise Aap Ginte Thy Aashnaa Jisse Aap Kehte Thy Baawafa...

Jise aap ginte thy aashnaa jisse aap kehte thy baawafa... Main wohi hoon “Momin-e-Mubtala” tumhen yaad ho k na yaad ho...

Aoo Mil Jao K Yai Waqt Na Paao Gay Kabhi...

Aoo mil jao k yai waqt na paao gay kabhi... Main bhi hamrah zamana k badal jaoun ga...

Tairy Badalny K Ba-Wasf Tujh Ko Chaha Hai...

Tairy badalny k Ba-Wasf tujh ko chaha hai... Yai aitraaz bhi shamil mairy ghunah main hai...

Sar Hi Ab Phoriye Nadamat Mein...

Sar hi ab phoriye nadamat mein Neend aany lagi hai furqat mein Hain daleelyn tairay khilaaf magar sochta hun teri himayat mein Rooh ne ishq ka fareb diya jism ko jism ki adawat mein Ishq ko darmyaan na laao ke mein Cheekhta hun badan ki usrat mein Ab faqat aadaton ki warzish hai Rooh shaamil nahin shikayat mein Apne hujray ka kya bayaan ke yahan khoon thooka gaya shararat mein Woh khala hai ke sochta hun main Us se kya guftugoo ho khalwat mein Yeh kuch asaan to nahin hai ke hum Roothty ab bhi hain murawat mein Woh jo taameer hony wali thi Lag gaii aagh us imarat mein Zindagi kis tarha basar hogi Dil nahin lag raha Mohabbat mein...

Zabt Kar Ke Hansi Ko Bhool Geya...

Zabt kar ke hansi ko bhool geya, Main to us zakhm hi ko bhool geya, Zaat–dar–zaat hamsafar reh kar, Ajnabi ajnabi ko bhool geya, Subh tak vajh-e-jaan-kani thi jo baat, Main usay shaam hi ko bhool geya, Ehd-e-vabastagi guzaar ke main, Vajh-e-wabastagi ko bhool geya, Sab daleelen to mujh ko yaad rahin, Behss kya thi ussi ko bhool geya main, Kyun na ho naaz is zehaanat par, Ek main har kisi ko bhool geya, Sab se pur-amn waaqiya hai yeh, Aadmi aadmi ko bhool geya, Qehqaha maartay hi deewana, Har gham-e-zindagi ko bhool geya, Kya qayamat hui agar ik shakhss, Apni khush-qismati ko bhool geya, Sab buray mujh ko yaad rehte hain, Jo bhalaa tha usii ko bhool geya, Un se vaada to kar liya lekin, Apni kam-fursati ko bhool geya, Khawb-ha-khawb jis ko chaha tha, Rang-ha-rang ussi ko bhool geya, Bastiyo ab to rasta dedo, Ab to main us gali ko bhool geya, Us ne goya mujhi ko yaad rakha, Main bhi goya usi ko bhool geya, Yaani tum wo...

Shehr Sara Huwa Khafa Maira...

شہر سارا ہوا خفا میرا نام کیا آپ نے لیا میرا خواب مانا کہ ہے کچا میرا وقت کٹ جاتا ہے اچھا میرا خود گرفتار ہوں وفاؤں میں   ورنہ پنجرہ تو ہے کھلا میرا جتنا منزل کی اور جاتا ہوں خود سے بڑھتا ہے فاصلہ میرا اور موسم نہ کوئی راس آیا غم کے موسم میں غم ہوا میرا صرف باقی بچا اندھیرا جب پھر کیا تیرا اور کیا میرا آپ   کے   بعد ,  آپ   سے   پہلے گر کوئی تھا تو وہم تھا میرا سامنے میں ہوں عکس ہے تیرا آئینہ بھی نہ ہو سکا میرا آئیے ، آپ ہی تلاش کریں   مجھ سے تو کھو گیا پتا میرا حال کی فکر تو نہ کر ابرک دیکھ بس حوصلہ ذرا میرا